raat phir ḳhvāb meñ aane kā irāda kar ke
chāñd Dubā hai abhī mahv-e-nazāra kar ke
tishnagī had se guzar jā.egī sāhil ke qarīb
fā.eda kyā hai samundar kā taqāzā kar ke
hairatī huuñ abhī TuuTā hai bharam ulfat kā
de gayā maat vo phir mujh ko bahānā kar ke
kartā rahtā thā mazāhan vo bahut sī bāteñ
ab raqam karte rahe us ko fasāna kar ke
maat chhal shah to faqat khel hai ik is ke liye
rakh diyā merī mohabbat ko tamāsha kar ke
chhoḌ jaane ko vo kahtā thā pa ma.alūm na thā
yuuñ chalā jā.egā dam-bhar meñ parāyā kar ke
āḳhir 'asrā' tirī fitrat meñ ye ujlat kyuuñ hai
dekh le rañj abhī aur gavārā kar ke