bālīdagī-e-zarf pe dikhlā.e ga.e log
har gaam pe gum-nām hai miTvā.e ga.e log
is farsh-e-tilismī ko atā kar dī farāġhat
yuuñ tasht-e-farebī meñ hī bikhrā.e ga.e log
qismat kī lakīroñ meñ jinheñ bāñdh ke rakkhā
āzādī kī masnad pe bhī biThlā.e ga.e log
har roz nayā ek tamāsha huā jaarī
ārā.ish-e-duniyā meñ jo uljhā.e ga.e log
pechīdgī-e-fikr meñ kyā ḳhuub phañsāyā
ehsās ke shānoñ se hī suljhā.e ga.e log
duniyā meñ darindoñ ko baḌe faḳhr se bhejā
har zulm pe phir sabr se samjhā.e ga.e log
ik ḳhauf thā us jā-e-pareshāñ kī fazā meñ
be-ḳhauf jo kuchh nikle vo dhamkā.e ga.e log
be-ḳhaufī se jab ḳhauf baḌhā ahl-e-jahāñ kā
maqtūl hue ḳhaak meñ dafnā.e ga.e log
haq chup hī rahe lab na khuleñ sar na uThā.e
is vāste be-maut bhī marvā.e ga.e log
nairañgī-e-kirdār pe hairān haiñ 'asrā'
sau pahlū se ik bazm meñ milvā.e ga.e log