Asra Rizvi

aisa ye dard hai ki bhulaya na jaega

Asra Rizvi

bhikhpur, Bihar, India

1993
aisā ye dard hai ki bhulāyā na jā.egā
me.ār-e-ishq un se baḌhāyā na jā.egā
is baar un se kah do qadam soch kar rakheñ
ujḌā jo phir ye shahr basāyā na jā.egā
jo log buġhz dil meñ chhupā.e haiñ aaj bhī
un se mire makān meñ aayā na jā.egā
haq baat bolne se kiyā jis kisī ne ḳhauf
mahfil meñ phir kabhī bhī bulāyā na jā.egā
the muttafiq to baat se merī sabhī magar
sheva mirā ḳhayāl banāyā na jā.egā
shāyad isī liye nahīñ aa.e vo mere paas
jo aa ga.e to chhoḌ ke jaayā na jā.egā
gar ehtirām kar na sake bazm-e-nāz kā
sharmindagī se sar ko uThāyā na jā.egā
zahr-āb mere vāste vo le to aa.egā
saaqī se jaam ham ko pilāyā na jā.egā
'asrā' banā lo shauq ko apne junūñ kī aag
ik baar bujh ga.ī to jalāyā na jā.egā
Top Urdushayar.com