Asra Rizvi

dard ki jot mere dil mein jagane wale

Asra Rizvi

bhikhpur, Bihar, India

1993
dard kī jot mire dil meñ jagāne vaale
roz paiġhām nayā de ke rulāne vaale
kaise likh duuñ maiñ tire naam fasāna koī
beach mañjdhār meñ kushtī ko Dubāne vaale
na koī aks na zañgār rahā mere liye
ruuh ke shīshe ko shaffāf banāne vaale
kyā nahīñ likkhā nigāhoñ ko rahīn-e-jalva
apnī tahrīr se taqdīr sajāne vaale
misl-e-parvāna taḌapne ke liye chhoḌ diyā
sham-e-gumnām se jazboñ ko jalāne vaale
kisī ta.abīr ko takmīl to pā jaane de
ḳhvāb har roz nayā mujh ko dikhāne vaale
azm-e-mohkam liye maiñ pesh nazar aa.ī huuñ
tiir alfāz kā be-ḳhauf chalāne vaale
vaqt ab bhī hai sambhal jaao ye duniyā hai fareb
pyaar ke Dhoñg meñ logoñ ko phañsāne vaale
vaqt ab duur nahīñ hai ki uThe shor-e-ġhazab
ġham ke sailāb meñ duniyā ko bahāne vaale
Top Urdushayar.com