Asra Rizvi

main tere shahr mein phirti rahi mari mari

Asra Rizvi

bhikhpur, Bihar, India

1993
maiñ tire shahr meñ phirtī rahī maarī maarī
kabhī gulshan kabhī sahrā kabhī vaadī vaadī
raah pur-peñch thī tanhā.ī thī añdhiyārā thā
bebasī kahtī rahī dasht meñ haadī haadī
uljhaneñ aur kasak ho ga.ī taqdīr mirī
ḳhānqāhoñ meñ bhī jhāñk aa.e haiñ jaalī jaalī
chhiḌ gayā phir dil-e-betāb par ik saaz nayā
ruḳh-e-hastī pe chhalakne lagī laalī laalī
jaane kaisī ye taḌap hai nahīñ rukne detī
jo thake mere qadam aah maiñ haarī haarī
ratjagoñ kā bhī asar hone lagā hai kuchh kuchh
surḳh rahne lagī āñkheñ mirī kaalī kaalī
husn hī husn thā aur jalve hī jalve har-sū
kāñpte hoñToñ se kahtī rahī vaarī vaarī
muntazir jis kī rahī us ne to dekhā bhī nahīñ
baaqī sab aa ke mile bazm meñ baarī baarī
us ke jaane ke tasavvur se bhar aa.iiñ āñkheñ
dil mirā lagne lagā ḳhud mujhe ḳhālī ḳhālī
Top Urdushayar.com