ab aise dasht-mizājoñ se duur ghar liyā jaa.e
bajā.e hasrat o girya kuchh aur kar liyā jaa.e
maiñ hāv-hū pe kahānī ko ḳhatm kar dūñgā
ye aam baat nahīñ hai, ise ḳhabar liyā jaa.e
ye nukta ishq-nagar ne mujhe kiyā ta.alīm
ki jis ko zer kahā jaa.e vo zabar liyā jaa.e
hameñ ye ishq bahut raas aane lag gayā hai
to kyā ḳhayāl hai, phir dūsrā bhī kar liyā jaa.e
maiñ apne dost ke pahle hadaf se vāqif thā
ye be-dhyānī nahīñ merī, darguzar liyā jaa.e