jiit aur haar kā imkān kahāñ dekhte haiñ
gaañv ke log haiñ nuqsān kahāñ dekhte haiñ
jab se dekhā hai tire chehre ko is shahar ke log!
phuul bāġhīcha o gul-dān kahāñ dekhte haiñ
qīmtī shai thī tirā hijr uThā.e rakkhā
varna sailāb meñ sāmān kahāñ dekhte haiñ
mujh ko aflāk se hijrat kī sadā aatī hai,
aadmī ishq meñ zindān kahāñ dekhte haiñ
'āmir' is taḳht meñ tābūt nazar aatā hai
dekhte ham haiñ ye darbān kahāñ dekhte haiñ