Taban Ghulam Rabbani

shauq ke KHwab-e-pareshan ki hain tafsiren bahut

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
shauq ke ḳhvāb-e-pareshāñ kī haiñ tafsīreñ bahut
dāman-e-dil par ubhar aa.ī haiñ tasvīreñ bahut
dostoñ kī bazm meñ kuchh soch kar lab sī liye
varna dāmān-e-tasavvur meñ haiñ taqrīreñ bahut
zindagī tere liye daftar kahāñ se lā.iye
chand bosīda varaq haiñ aur tahrīreñ bahut
ḳhvāhisheñ hī ḳhvāhisheñ haiñ hasrateñ hī hasrateñ
dil sā dīvāna salāmat hai to zanjīreñ bahut
baat itnī hai koī ho to sazāvār-e-salīb
is ga.e-guzre zamāne meñ bhī ta.azīreñ bahut
zindagī kī talḳh tar sachchā.iyoñ kā kyā ilaaj
yuuñ to ahl-e-maslahat karte haiñ tadbīreñ bahut
kārobār-e-shauq kī hāsil haiñ vo paspā.iyāñ
jin pe 'tābāñ' naaz farmātī haiñ taqdīreñ bahut
Top Urdushayar.com