Taban Ghulam Rabbani

hum ek umr jale sham-e-rahguzar ki tarah

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
ham ek umr jale sham-e-rahguzar kī tarah
ujālā ġhairoñ se kyā māñgte qamar kī tarah
kahāñ ke jaib-o-garebāñ jigar bhī chaak hue
bahār aa.ī qayāmat ke nāma-bar kī tarah
karam kaho ki sitam dil-dahī kā har andāz
utar utar sā gayā dil meñ neshtar kī tarah
na hādsoñ kī kamī hai na shorishoñ kī kamī
chaman meñ barq bhī paltī hai bāl-o-par kī tarah
na-jāne kyuuñ yahāñ vīrāniyāñ barastī haiñ
sabhī ke ghar haiñ ba-zāhir hamāre ghar kī tarah
ḳhudā kare ki sadā kārobār-e-shauq chale
jo be-niyāz ho manzil se is safar kī tarah
bas aur kyā kaheñ rūdād-e-zindagī 'tābāñ'
chaman meñ ham bhī haiñ ik shāḳh-e-be-samar kī tarah
Top Urdushayar.com