Taban Ghulam Rabbani

har sitam lutf hai dil KHugar-e-azar kahan

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
har sitam lutf hai dil ḳhūgar-e-āzār kahāñ
sach kahā tum ne mujhe ġham se sarokār kahāñ
dasht-o-sahrā ke kuchh ādāb huā karte haiñ
kyuuñ bhaTakte ho yahāñ sāya-e-dīvār kahāñ
bāda-e-shauq se labrez hai sāġhar merā
kaise azkār mujhe fursat-e-afkār kahāñ
kyuuñ tire daur meñ mahrūm-e-sazā huuñ ki mujhe
jurm par naaz sahī jurm se inkār kahāñ
rah-rav-e-shauq hai begāna-e-manzil varna
kūcha-e-dār kahāñ kūcha-e-dildār kahāñ
sochte kyā ho jalāte raho zaḳhmoñ ke charāġh
dekhte kyā ho abhī sub.h ke āsār kahāñ
tum ko chāhā thā magar tum bhī vafā-dost nahīñ
dil pe takiya thā magar dil bhī vafādār kahāñ
yuuñ to har gaam pe ġham-ḳhvār mile haiñ 'tābāñ'
jo mire ġham ko samajh paa.e vo ġham-ḳhvār kahāñ
Top Urdushayar.com