daad bhī fitna-e-bedād bhī qātil kī taraf
be-gunāhī ke sivā kaun thā bismil kī taraf
manzileñ raah meñ thiiñ naqsh-e-qadam kī sūrat
ham ne muḌ kar bhī na dekhā kisī manzil kī taraf
maqtal-e-nāz se guzre to guzarne vaale
phuul kuchh pheñk ga.e dāman-e-qātil kī taraf
jhilmilāte nahīñ be-vaj.h to mahfil ke charāġh
ik nazar dekh to lo sāhab-e-mahfil kī taraf
kitnī be-kaif haiñ sāhil kī fazā.eñ yā rab
koī tūfān kā ruḳh moḌ de sāhil kī taraf
yaad aatā hai vo andāz-e-tajāhul ai dost
baat auroñ se magar rū-e-suḳhan dil kī taraf
zikr aayā thā hayāt-e-abadī kā 'tābāñ'
log kyuuñ takne lage kūcha-e-qātil kī taraf