har moḌ ko charāġh-e-sar-e-rahguzar kaho
biite hue dinoñ ko ġhubār-e-safar kaho
ḳhūñ-gashta aarzū ko kaho shām-e-mai-kada
dil kī jarāhatoñ ko chaman kī sahar kaho
har rahguzar pe kartā huuñ zanjīr kā qayās
chāho to tum use bhī junūñ kā asar kaho
merī matā-e-dard yahī zindagī to hai
nā-mo'tabar kaho ki use mo'atabar kaho
ye bhī urūj-e-rañg kā ik mo.ajiza sahī
phūloñ kī tāzgī ko faroġh-e-sharar kaho
dānish-varān-e-hāl kā 'tābāñ' hai mashvara
har manzar-e-jahāñ ko fareb-e-nazar kaho