Taban Ghulam Rabbani

basti mein kami kis chiz ki hai patthar bhi bahut shishe bhi bahut

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
bastī meñ kamī kis chiiz kī hai patthar bhī bahut shīshe bhī bahut
is mehr o jafā kī nagrī se dil ke haiñ magar rishte bhī bahut
ab kaun batā.e vahshat meñ kyā khonā hai kyā paayā hai
hāthoñ kā huā shohra bhī bahut dāman ne sahe sadme bhī bahut
ik johd o talab ke raahī par be-rāh-ravī kī tohmat kyuuñ
samtoñ kā fusūñ jab TuuT gayā āvāra hue raste bhī bahut
mausam kī havā.eñ gulshan meñ jaadū kā amal kar jaatī haiñ
rūdād-e-bahārāñ kyā kahiye shabnam bhī bahut sho.ale bhī bahut
hai yuuñ ki tarab ke sāmāñ bhī arzāñ haiñ junūñ kī rāhoñ meñ
talvoñ ke liye chhāle bhī bahut chhāloñ ke liye kāñTe bhī bahut
kahte haiñ jise jiine kā hunar āsān bhī hai dushvār bhī hai
ḳhvāboñ se milī taskīñ bhī bahut ḳhvāboñ ke uḌe purze bhī bahut
rusvā.ī ki shohrat kuchh jaano hurmat ki malāmat kuchh samjho
'tābāñ' hoñ kisī unvān sahī hote haiñ mire charche bhī bahut
Top Urdushayar.com