junūñ ḳhud-numā ḳhud-nigar bhī nahīñ
ḳhirad kī tarah kam-nazar bhī nahīñ
koī rāhzan kā ḳhatar bhī nahīñ
ki dāman meñ gard-e-safar bhī nahīñ
yahāñ hosh-o-īmāñ sabhī luT ga.e
mazā ye hai un kī ḳhabar bhī nahīñ
ġham-e-zindagī ik musalsal azaab
ġham-e-zindagī se mafar bhī nahīñ
nazar mo'atabar hai ḳhabar mo'atabar
magar is qadar mo'atabar bhī nahīñ
tirī anjuman markaz-e-ārzū
tirī anjuman meñ guzar bhī nahīñ
kahāñ jaa.eñ 'tābāñ' gunahgār-e-shauq
sazā bhī nahīñ darguzar bhī nahīñ