Taban Ghulam Rabbani

bahaar aai gul-afshaniyon ke din aae

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
bahār aa.ī gul-afshāniyoñ ke din aa.e
uThāo saaz ġhazal-ḳhvāniyoñ ke din aa.e
nigāh-e-shauq kī gustāḳhiyoñ kā daur aayā
dil-e-ḳharāb kī nādāniyoñ ke din aa.e
nigāh-e-husn ḳharīdāriyoñ pe maa.il hai
matā-e-shauq kī arzāniyoñ ke din aa.e
mizāj-e-aql kī nā-sāziyoñ kā mausam hai
junūñ kī silsila-jambāniyoñ ke din aa.e
saroñ ne dāvat-e-āshuftagī kā qasd kiyā
diloñ meñ dard kī mehmāniyoñ ke din aa.e
charāġh-e-lāla-o-gul kī Tapak paḌī haiñ laveñ
chaman meñ phir sharer-afshāniyoñ ke din aa.e
bahār bā.is-e-jam.īyat-e-chaman na huī
shamīm-e-gul kī pareshāniyoñ ke din aa.e
udhar chaman meñ zar-e-gul luTā idhar 'tābāñ'
hamārī be-sar-o-sāmāniyoñ ke din aa.e
Top Urdushayar.com