Taban Ghulam Rabbani

lutf ye hai jise aashob-e-jahan kahta hun

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
lutf ye hai jise āshob-e-jahāñ kahtā huuñ
usī zālim ko faroġh-e-dil-o-jāñ kahtā huuñ
ġhair kā zikr hī kyā muft meñ ilzām na do
dil kī har baat maiñ tum se bhī kahāñ kahtā huuñ
kisī majbūr ke hoñToñ pe jo aa jaatā hai
us tabassum ko maiñ e.ajāz-e-fuġhāñ kahtā huuñ
na maiñ zindānī-e-sahrā na asīr-e-gulshan
koī bandish ho use jī kā ziyāñ kahtā huuñ
dil shikasta sahī māyūs nahīñ huuñ ai dost
maiñ ki har daur ko daur-e-guzarāñ kahtā huuñ
husn kā sheva-e-paimāñ-shikanī achchhā hai
phir bhī har saañs ko chashm-e-nigarāñ kahtā huuñ
koī had hai mirī āshufta-sarī kī 'tābāñ'
un kī zulfoñ ko charāġhoñ kā dhuāñ kahtā huuñ
Top Urdushayar.com