Taban Ghulam Rabbani

zindagi dil pe ajab sehr sa karti jae

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
zindagī dil pe ajab sehr sā kartī jaa.e
ik jagah Thahrī lage aur guzartī jaa.e
āñsuoñ se koī āvāz ko nisbat na sahī
bhīgtī jaa.e to kuchh aur nikhartī jaa.e
dekhte dekhte dhundlā ga.e manzar saare
terī zulfoñ kī tarah shaam bikhartī jaa.e
baat kā raaz khule baat kā andāz khule
tere hoñToñ se chale dil meñ utartī jaa.e
rafta rafta kisī gum-nām lahū kī tahrīr
qātil-e-shahr ke dāman pe ubhartī jaa.e
ho ke barbād chale sehn-e-chaman se nik.hat
dasht-o-sahrā kī magar jholiyāñ bhartī jaa.e
maiñ ne kab da.avā-e-ilhām kiyā hai 'tābāñ'
likh diyā kartā huuñ jo dil pe guzartī jaa.e
Top Urdushayar.com