Taban Ghulam Rabbani

shabab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
shabāb-e-husn hai barq-o-sharar kī manzil hai
ye āzmā.ish-e-qalb-o-nazar kī manzil hai
savād-e-shams-o-qamar bhī bashar kī manzil hai
abhī to parvarish-e-bāl-o-par kī manzil hai
ye mai-kada hai kalīsā o ḳhānqāh nahīñ
urūj-e-fikr o faroġh-e-nazar kī manzil hai
hameñ to raas hī aa.ī fuġhāñ kī be-asarī
magar batāo to koī asar kī manzil hai
vo rahbari-e-janāb-e-ḳhizar kī manzil thī
ye rahnumā.i-e-fikr-e-bashar kī manzil hai
ye raaz pā na sake sāhibān-e-hosh-o-ḳhirad
junūñ bhī ik nigah-e-parda-dar kī manzil hai
qayām shāmil-e-mashq-e-ḳhirām hai 'tābāñ'
safar kā tark bhī goyā safar kī manzil hai
Top Urdushayar.com