daur-e-tūfāñ meñ bhī jī lete haiñ jiine vaale
duur sāhil se kisī mauj-e-gurezāñ kī tarah
dil kī vaadī meñ tirā dard barastā hī rahā
abr-e-naisāñ kī tarah abr-e-bahārāñ kī tarah
fāsle vaqt meñ tabdīl hue jaate haiñ
zindagī raqs meñ hai gardish-e-daurāñ kī tarah
dil kī taskīn ko māñge kā ujālā kahiye
raat ik shoḳh kī yaad aa.ī thī mehmāñ kī tarah
aarzū aur zamāne kī kashākash se gurez
zindagī aur charāġh-e-tah-e-dāmāñ kī tarah
gar na ho ḳhātir nāzuk pe garāñ to kah duuñ
baat bhī dil meñ utar jaatī hai paikāñ kī tarah
ek tasvīr banī sarhad-e-iz.hār se duur
nutq hairāñ hai mire dīda-e-hairāñ kī tarah
chāñd nikhrā hai tirī lauh-e-jabīñ kī sūrat
raat bikhrī hai tirī zulf-e-pareshāñ kī tarah
kis ne hañs hañs ke piyā zahr-e-malāmat paiham
kaun rusvā sar-e-bāzār hai 'tābāñ' kī tarah