Taban Ghulam Rabbani

rahguzar ho ya musafir nind jis ko aae hai

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
rahguzar ho yā musāfir niiñd jis ko aa.e hai
gard kī mailī sī chādar oḌh ke so jaa.e hai
qurbateñ hī qurbateñ haiñ dūriyāñ hī dūriyāñ
aarzū jaadū ke sahrā meñ mujhe dauḌāye hai
vaqt ke hāthoñ zamīr-e-shahr bhī maarā gayā
rafta rafta mauj-e-ḳhūñ sar se guzartī jaa.e hai
merī āshufta-sarī vaj.h-e-shanāsā.ī huī
mujh se milne roz koī hādisa aa jaa.e hai
yuuñ to ik harf-e-tasallī bhī baḌī shai hai magar
aisā lagtā hai vafā be-ābrū ho jaa.e hai
zindagī kī talḳhiyāñ detī haiñ ḳhvāboñ ko janam
tishnagī sahrā meñ dariyā kā samāñ dikhlā.e hai
kis tarah dast-e-hunar meñ bolne lagte haiñ rañg
madrase vāloñ ko 'tābāñ' kaun samjhā paa.e hai
Top Urdushayar.com