Taban Ghulam Rabbani

chhaTe ghubar-e-nazar baam-e-tur aa jae

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
chhaTe ġhubār-e-nazar bām-e-tūr aa jaa.e
piyo sharāb ki chehre pe nuur aa jaa.e
uThāo jaam ba-nām-e-hayāt bāda-kasho
nazāre jhūmeñ nazar ko surūr aa jaa.e
sharāb-ḳhāne meñ kausar kā zikr kyā kahiye
kisī kī aql meñ jaise futūr aa jaa.e
maqām-e-dār se guzro to zindagī paao
piyo jo zahr-e-halāhal surūr aa jaa.e
nigāh tez nafas garm aarzū bebāk
jise ho naaz hamāre huzūr aa jaa.e
ye kārobār-e-mashiyat bhī ḳhuub hai 'tābāñ'
kisī pe barq gire zad pe tuur aa jaa.e
Top Urdushayar.com