Taban Ghulam Rabbani

meri sahba-parasti morid-e-ilzam hai saqi

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
mirī sahbā-parastī morid-e-ilzām hai saaqī
ḳhirad vāloñ kī mahfil meñ junūñ badnām hai saaqī
junūñ meñ aur ḳhirad meñ dar-haqīqat farq itnā hai
vo zer-e-dar hai saaqī aur ye zer-e-dām hai saaqī
sū-e-manzil baḌhe jaatā huuñ mai-ḳhāna ba mai-ḳhāna
mazāq-e-justujū tishna-labī kā naam hai saaqī
kabhī jo chaar qatre bhī salīqe se na pī paa.e
vo rind-e-ḳhām hai saaqī vo nañg-e-jām hai saaqī
nahīñ hai aaj bhī shā.ista-e-ādāb-e-mai-noshī
vo ik rind-e-balā-kash jis kā 'tābāñ' naam hai saaqī
Top Urdushayar.com