Taban Ghulam Rabbani

manzilon se begana aaj bhi safar mera

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
manziloñ se begāna aaj bhī safar merā
raat be-sahar merī dard be-asar merā
gumrahī kā aalam hai kis ko ham-safar kahiye
thak ke chhoḌ baiThī hai saath rahguzar merā
vo faroġh-e-ḳhalvat bhī anjuman-sarāpā bhī
bhar gayā hai phūloñ se dāman-e-nazar merā
ab tire taġhāful se aur kyā talab kiije
shauq-e-nā-rasā merā ishq-e-mo'atabar merā
daur-e-kam-ayārī hai kuchh pata nahīñ chaltā
kaun merā qātil hai kaun chāra-gar merā
nā-guzīr hastī haiñ fasl-e-gul ke hañgāme
shozish-e-numū terī fitna-e-sharar merā
kuchh batāo to āḳhir kyā javāb duuñ us ko
ik savāl kartā hai roz mujh se ghar merā
āsmāñ kā shikva kyā vaqt kī shikāyat kyuuñ
ḳhūn-e-dil se nikhrā hai aur bhī hunar merā
dil kī be-qarārī ne hosh kho diye 'tābāñ'
varna āstānoñ par kab jhukā thā sar merā
Top Urdushayar.com