Taban Ghulam Rabbani

wo nazuk sa tabassum rah gaya wahm-e-hasin ban kar

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
vo nāzuk sā tabassum rah gayā vahm-e-hasīñ ban kar
numāyāñ ho gayā zauq-e-sitam chīn-e-jabīñ ban kar
bahut itrā rahī hai raat zulf-e-ambarīñ ban kar
bahut maġhrūr hai nūr-e-sahar rañg-e-jabīñ ban kar
mirī jāma-darī ne raaz ye kholā zamāne par
ḳhirad dhoke diyā kartī hai jaib o āstīñ ban kar
karam meñ bhī magar ik ġhamza-e-ḳhūñ-rez shāmil thā
nigāhoñ kī taraf uTThī to dil kī nukta-chīñ ban kar
mirī dīvāngī thī ik sharār-e-ārzū dil meñ
baḌhī to daar par raushan huī sham-e-yaqīñ ban kar
payām aate rahe aksar kisī mahv-e-taġhāful ke
adā-e-bar-malā ban kar nigāh-e-sharmagīñ ban kar
vo ik sajda na ho paayā jo barbād-e-haram 'tābāñ'
jabīn-e-shauq par raushan hai pindār-e-jabīñ ban kar
Top Urdushayar.com