sharh-e-jāñ-sozī-e-ġham-e-arz-e-vafā kyā karte
tum bhī ik jhūTī tasallī ke sivā kyā karte
shīsha nāzuk thā zarā choT lagī TuuT gayā
hādse hote hī rahte haiñ gilā kyā karte
raat ne chheḌ diye bhūle hue afsāne
jaag kar sub.h na karte to bhalā kyā karte
apnī kashtī ko bhī mil jaatā kināra shāyad
tund thī mauj muḳhālif thī havā kyā karte
jazba-e-shauq ko iz.hār kī fursat na milī
lafz-o-ma.anī kā fusūñ TuuT gayā kyā karte
dil ko vo dard milā jis kā mudāvā na ilaaj
mere monis mire ġham-ḳhvār bhalā kyā karte
thī na kyā kyā havas-e-sair-o-tamāshā 'tābāñ'
rāste paañv kī zanjīreñ banā kyā karte