Taban Ghulam Rabbani

dil wo kafir ki sada aish ka saman mange

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
dil vo kāfir ki sadā aish kā sāmāñ māñge
zaḳhm pā jaa.e to kambaḳht namak-dāñ māñge
lutf aa.e jo koī soḳhta-sāmān-e-bahār
ḳhāliq-e-rañg se phir sho.ala-e-uryāñ māñge
hasrat-e-dīd sar-e-bām tamāsha chāhe
ishq-e-betāb sar-e-tūr charāġhāñ māñge
raat zulfoñ se kare shoḳh añdheroñ kā savāl
raushnī lauh-e-jabīñ se mah-e-tābāñ māñge
ik charāġh aur sar-e-rah-guzar-e-bād sahī
chaar tinkoñ ke liye kaun gulistāñ māñge
kam-nigāhī kā taqāza hai ki phir jur.at-e-shauq
ḳhud tirī shoḳhī-e-andāz se unvāñ māñge
dast-e-vahshat ke koī hausle dekhe 'tābāñ'
jab bhī māñge to usī shoḳh kā dāmāñ māñge
Top Urdushayar.com