Taban Ghulam Rabbani

hujum-e-dard ka itna baDhe asar gum ho

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
hujūm-e-dard kā itnā baḌhe asar gum ho
mile vo raat ki jis raat kī sahar gum ho
mazā to jab hai ki āvārgān-e-shauq ke saath
ġhubār ban ke chale aur rahguzar gum ho
hamārī tarah ḳharāb-e-safar na ho koī
ilāhī yuuñ to kisī kā na rāhbar gum ho
chale haiñ ham bhī charāġh-e-nazar jalā.e hue
ye raushnī bhī kahīñ raah meñ agar gum ho
talāsh-e-dost hai dil ko magar ḳhudā jaane
kahāñ kahāñ ye bhaTaktā phire kidhar gum ho
chaman chaman haiñ vo nashv-o-numā ke hañgāme
guloñ ko DhūñDne jaa.e to ḳhud nazar gum ho
suḳhan kī jaan hai husn-e-bayāñ magar 'tābāñ'
na yuuñ ki lafz hī rah jaa.eñ fikr-e-tar gum ho
Top Urdushayar.com