Taban Ghulam Rabbani

jalwa paband-e-nazar bhi hai nazar-saz bhi hai

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
jalva pāband-e-nazar bhī hai nazar-sāz bhī hai
parda-e-rāz bhī hai parda-dar-e-rāz bhī hai
ham-nafas aag na lag jaa.e kahīñ mahfil meñ
shola-e-sāz bhī hai shola-e-āvāz bhī hai
yuuñ bhī hotā hai mudāvā-e-ġham-e-mahrūmī
jabr-e-sayyād bhī hai hasrat-e-parvāz bhī hai
mere afkār kī rānā.iyāñ tere dam se
merī āvāz meñ shāmil tirī āvāz bhī hai
zindagī zauq-e-numū zauq-e-talab zauq-e-safar
anjuman-sāz bhī hai garm-e-tag-o-tāz bhī hai
mere afkār-o-ḳhayālāt meñ saarī 'tābāñ'
husn-e-dillī bhī hai rānā.i-e-shīrāz bhī hai
Top Urdushayar.com