Taban Ghulam Rabbani

sar-ta-ba-qadam ek hasin raaz ka aalam

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
sar-tā-ba-qadam ek hasīñ raaz kā aalam
allāh re ik fitnagar-e-nāaz kā aalam
zulfoñ meñ vo barsāt kī rātoñ kī javānī
aariz pe vo anvār-e-sahar-sāz kā aalam
unvān-e-soḳhan 'ġhālib' o 'momin' kā taġhazzul
andāz-e-nazar bāda-e-shīrāz kā aalam
duz-dīda nigāhoñ meñ ik ilhām kī duniyā
nāzuk se tabassum meñ ik ejaaz kā aalam
uljhe hue jumloñ meñ sharārat bhī hayā bhī
jazbāt meñ Duubā huā āvāz kā aalam
is sādgi-e-husn meñ kis darja kashish hai
har naaz meñ ik jazba-e-ġhammāz kā aalam
us said ko kyā kahiye jo ḳhud aa.e tah-e-dām
dil meñ liye ik hasrat-e-parvāz kā aalam
yuuñ to na tasāhul na taġhāful na tajāhul
kuchh aur hai us kāfir-e-tannāz kā aalam
shoḳhī meñ sharārat meñ matānat meñ hayā meñ
jo raaz kā aalam thā vahī raaz kā aalam
Top Urdushayar.com