numū ke faiz se rañg-e-chaman nikhar sā gayā
magar bahār meñ dil shorishoñ se Dar sā gayā
jafā-e-dost bahut sāzgār aa.ī hai
ḳharāb ho ki ye dil aur kuchh sañvar sā gayā
na jaane bād-e-sabā kyā payām laa.ī thī
ki phuul hañs to diyā phir bhī muñh utar sā gayā
ba-faiz-e-shauq ye din dekhnā nasīb huā
ki sar se dard kā tūfāñ guzar guzar sā gayā
tilism-e-bazm fusūn-e-jamāl sehr-e-shabāb
nigāh-e-shauq kā dāman guloñ se bhar sā gayā
vo shaam ho ga.ī mansūb un kī yaad ke naam
charāġh jal sā gayā dāġh-e-dil ubhar sā gayā
vo ek shoḳh kā andāz-e-guftugū 'tābāñ'
jigar meñ tanz kā nashtar utar utar sā gayā