milegā dard to darmāñ kī aarzū hogī
tamām umr ġharaz sirf justujū hogī
phir aaj dil se muḳhātab hai shab kā sannāTā
phir aaj sub.h talak un kī guftugū hogī
junūñ kā shaġhl salāmat rafū kī fikr na kar
kise ḳhabar hai ki kab fursat-e-rafū hogī
abhī jaleñge yahāñ aur be-ruḳhī ke charāġh
is anjuman meñ vafā aur surḳh-rū hogī
chalegī baat jahāñ terī kaj-adā.ī kī
mirī vafā bhī to mauzū-e-guftugū hogī
bacheñge barq-e-havādis se āshiyāñ kab tak
ki tez-tar abhī tahrīk-e-rañg-o-bū hogī
mileñge raah meñ aise aise bhī ham-safar 'tābāñ'
qadam qadam jinheñ manzil kī justujū hogī