Taban Ghulam Rabbani

qusur ishq mein zahir hai sab hamara tha

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
qusūr ishq meñ zāhir hai sab hamārā thā
tirī nigāh ne dil ko magar pukārā thā
vo din bhī kyā the ki har baat meñ ishārā thā
diloñ kā raaz nigāhoñ se āshkārā thā
havā-e-shauq ne rañg-e-hayā nikhārā thā
chaman chaman lab-o-ruḳhsār kā nazārā thā
fareb khā ke tirī shoḳhiyoñ se kyā pūchheñ
hayāt o marg meñ kis kī taraf ishārā thā
sujūd-e-husn kī tamkīñ pe baar thā varna
jabīn-e-shauq ko ye nañg bhī gavārā thā
chaman meñ aag na lagtī to aur kyā hotā
ki phuul phuul ke dāman meñ ik sharārā thā
tabāhiyoñ kā to dil kī gila nahīñ lekin
kisī ġharīb kā ye āḳhirī sahārā thā
bahut latīf the nazzāre husn-e-barham ke
magar nigāh uThāne kā kis ko yaarā thā
ye kahiye zauq-e-junūñ kaam aa gayā 'tābāñ'
nahīñ to rasm-o-rah-e-āgahī ne maarā thā
Top Urdushayar.com