Saqib Lakhnavi

milta jo koi TukDa is charKH-e-zabarjad mein

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
miltā jo koī TukḌā is charḳh-e-zabarjad meñ
paivand lagā detā maiñ nafs-e-mujarrad meñ
bedāri-e-furqat meñ thā ramz qayāmat kā
jaagā huuñ ki niind aa.e tārīki-e-marqad meñ
is daftar-e-hastī meñ tālīm bahut kam hai
do harf nazar aa.e dībācha-e-abjad meñ
go ḳhaak kā putlā huuñ lekin koī kyā samjhe
maiñ bhī koī shai huuñ jo gardūñ hai mirī kad meñ
hai zabt kī farmā.ish is dil se bahut bejā
ye qulzum-e-lā-sāhil kis tarah rahe had meñ
pahlū meñ nahīñ dil to dil-soz hī aa jaatā
ik sham.a to jal jaatī tārīki-e-marqad meñ
nāloñ se ye kahtā huuñ himmat se na dil hāreñ
tāroñ ne jagah kar lī is lauh-e-zamurrad meñ
Top Urdushayar.com