Taban Ghulam Rabbani

ek tum hi nahin duniya mein jafakar bahut

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
ek tum hī nahīñ duniyā meñ jafākār bahut
dil salāmat hai to dil ke liye āzār bahut
haa.e kyā chiiz hai mahrūmī-o-ġham kā rishta
mil ga.e ziist ke har moḌ pe ġham-ḳhvār bahut
yād-e-ahbāb kī ḳhushbū se mahaktī shāmeñ
kuchh kaho hotī haiñ kambaḳht dil-āzār bahut
ishq-e-āvāra kahāñ qaid-e-dar-o-bām kahāñ
be-navāoñ ke liye sāya-e-dīvār bahut
dil kī raftār badal jaatī thī āvāz ke saath
yaad aatā hai vo pairāya-e-guftār bahut
ek din vaqt batā.egā junūñ kī azmat
yuuñ to ham log haiñ rusvā sar-e-bāzār bahut
vo kashākash hai ki jiinā bhī hai dūbhar 'tābāñ'
ishq ma.asūm bahut husn fusūñ-kār bahut
Top Urdushayar.com