Taban Ghulam Rabbani

tumhin batao pukara hai bar bar kise

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
tumhīñ batāo pukārā hai baar baar kise
aziiz kahte haiñ ġham-hā-e-rozgār kise
sukūt-e-rāz kaho yā sukūt-e-majbūrī
magar laboñ kī jasārat thī nāgavār kise
ḳhizāñ meñ kis ne bahāroñ kī dilkashī bhar dī
duā.eñ detā hai dāman kā taar taar kise
kahāñ vo daaġh ki dil kā gumāñ kare koī
samjhiye ahd-e-tamannā kī yādgār kise
nasīm-e-sub.h kā ġhunchoñ ko intizār sahī
havā-e-dasht huuñ maiñ merā intizār kise
shaguftagī kā ishāra hai phuul barseñge
na jaane aaj navāze-gī shāḳh-e-dār kise
jarāhatoñ ke ḳhazāne luTā diye 'tābāñ'
kiyā hai raah ke kāñToñ ne itnā pyaar kise
Top Urdushayar.com