shauq kā taqāza hai sharh-e-ārzū kiije
dil se ahd-e-ḳhāmoshī kaise guftugū kiije
dil ho yā garebāñ ho roz chaak hote haiñ
kyā junūñ ke mausam meñ koshish-e-rafū kiije
āshīqī-o-ḳhuddārī bandagī-o-ḳhud-bīnī
aarzū kī rāhoñ meñ ḳhūn-e-ārzū kiije
daad sa.ī-e-paiham kī kuchh to dījiye ya.anī
tāza-tar shikastoñ se dil ko surḳh-rū kiije
pā-e-shauq meñ kab tak rāstoñ kī zanjīreñ
sūrat-e-sabā chaliye sair chār-sū kiije
hai ḳhulūs kā maslak dushman-e-asar āḳhir
jo na ho muqaddar meñ us kī justujū kiije
bazm-e-jām-o-mīnā meñ dād-e-tishnagī diije
mausam-e-bahārāñ meñ hasrat-e-numū kiije
kyā ajab ki bar aa.e dil kī aarzū 'tābāñ'
sair kū-e-qātil kī aap bhī kabhū kiije