Taban Ghulam Rabbani

lutf ka rabt hai koi na jafa ka rishta

Taban Ghulam Rabbani

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1914-1993
lutf kā rabt hai koī na jafā kā rishta
dil se kuchh duur hai zālim kī anā kā rishta
dast-e-īsā bhī vahī bāzū-e-qātil bhī vahī
kitnā nāzuk hai charāġhoñ se havā kā rishta
jabr-e-hālāt kaho ġham kī mukāfāt kaho
TuuT bhī jaatā hai hoñToñ se navā kā rishta
sochiye to sabhī apne haiñ koī ġhair nahīñ
hākim-e-shahr se hai jurm-o-sazā kā rishta
manzar-e-zīst meñ kuchh rañg to bhar detā hai
ḳhār-zāroñ se kisī ābla-pā kā rishta
phuul nāyāb sahī zaḳhm to nāyāb nahīñ
aaj bhī dil se vahī āb-o-havā kā rishta
kyā kareñ rasm-e-zamāna kī shikāyat 'tābāñ'
dard se rakhte haiñ ham log sadā kā rishta
Top Urdushayar.com