Inam Nadeem

KHud apne ujale se ojhal raha hai diya jal raha hai

Inam Nadeem

1967
ḳhud apne ujāle se ojhal rahā hai diyā jal rahā hai
nahīñ jānte kis tarah jal rahā hai diyā jal rahā hai
samundar kī maujoñ ko chhū kar havā.eñ palaTne lagī haiñ
sitāra falak par kahīñ chal rahā hai diyā jal rahā hai
koī faisla to karo rāste se guzartī havāo
ye qissa baḌī der se Tal rahā hai diyā jal rahā hai
kahīñ duur tak koī jugnū nahīñ hai sitāre bujhe haiñ
chamaktā huā chāñd bhī Dhal rahā hai diyā jal rahā hai
koī yaad phir dil meñ aa kar basī hai mahak sī huī hai
koī ḳhvāb āñkhoñ meñ phir pal rahā hai diyā jal rahā hai
Top Urdushayar.com