apnī hī ravānī meñ bahtā nazar aatā hai
ye shahr bulandī se dariyā nazar aatā hai
detā hai koī apne dāman kī havā us ko
sho.ala sā mire dil meñ jaltā nazar aatā hai
us haath kā tohfa thā ik daaġh mire dil par
vo daaġh bhī ab lekin jaatā nazar aatā hai
āñkhoñ ke muqābil hai kaisā ye ajab manzar
sahrā to nahīñ lekin sahrā nazar aatā hai
ik shakl sī bantī hai har shab mirī nīndoñ meñ
ik phuul sā ḳhvāboñ meñ khiltā nazar aatā hai
āñkhoñ ne nahīñ dekhī us jism kī ra.anā.ī
ye chaar taraf jis kā saayā nazar aatā hai
dariyā ko kināre se kyā dekhte rahte ho
andar se kabhī dekho kaisā nazar aatā hai
phir zau meñ 'nadīm' apnī kuchh kam hai sitāra vo
ye raat kā ā.īna dhundlā nazar aatā hai