jis roz tire hijr se fursat meñ rahūñgā
mālūm nahīñ kaun sī vahshat meñ rahūñgā
kuchh der rahūñgā kisī taare ke jilau meñ
kuchh der kisī ḳhvāb kī ḳhalvat meñ rahūñgā
ḳhāmosh khaḌā huuñ maiñ dar-e-ḳhvāb se bāhar
kyā jāniye kab tak isī hālat meñ rahūñgā
kuchh roz abhī aur hai ye ā.ina-ḳhāna
kuchh roz abhī aur maiñ hairat meñ rahūñgā
dil meñ jo ye ehsās kī koñpal sī khulī hai
tā-der 'nadīm' us kī masarrat meñ rahūñgā