zamīñ bichhā.ī yahāñ āsmāñ buland kiyā
phir us ne ek sitāre ko arjumand kiyā
ajiib rāsta khultā chalā gayā mujh par
jab ek raat dar-e-ḳhvāb maiñ ne band kiyā
pukārte the mujhe āsmāñ magar maiñ ne
qayām karne ko ye ḳhāk-dāñ pasand kiyā
ajiib baat thī ab ke mubārazat meñ 'nadīm'
ki mujh ko merī hazīmat ne fat.h-mand kiyā