ham se dīvānoñ ko asrī āgahī Dastī rahī
khokhlī tahzīb kī farzāngī Dastī rahī
sho.ala-e-nafrat to bhaḌkā ek lamhe ke liye
muddatoñ phir shahr ko ik tīrgī Dastī rahī
maut kī nāgin se ab hargiz vo Dar saktā nahīñ
jis ko saarī umr ḳhud ye zindagī Dastī rahī
maiñ na jaane kitne janmoñ kā huuñ pyāsā dosto
rah ke dariyā meñ bhī mujh ko tishnagī Dastī rahī
aap ke hoñToñ pe jo muddat se hai chhā.ī huī
dard meñ Duubī huī vo ḳhāmushī Dastī rahī
ek tum ho dushmanī bhī raas aa.ī hai jise
aur ik maiñ huuñ ki jis ko dostī Dastī rahī
har ghaḌī chehre pe jo chehre lagātā hī rahā
umr bhar us ko 'asad' be-chehragī Dastī rahī