sulagtī rut thī pa kab tū bhī paas aisā thā
ki tere qurb kā manzar bhī pyaas aisā thā
bichhaḌ ke tujh se to ḳhud se bhī sharm aatī hai
tirā vajūd-e-badan par libās aisā thā
ḳhud apne dil kī sadā terī dastakoñ sī lagī
gumāñ meñ thā terā aanā qayās aisā thā
shikast-o-reḳht kī saḳhtī ko kaise jhel gayā
mulā.emat meñ jo paikar kapās aisā thā
jahāñ kahīñ bhī gayā huuñ to ghar ko lauT aayā
udāsiyoñ kā ye māhaul raas aisā thā
fasīl-e-shahr girī aur ġhanīm ke Dar se
koī na chain se soyā hirās aisā thā
paḌheñ to ḳhud ko zamīñ-bos paa.eñ kaj-dastār
mirī kitāb meñ ik iqtibās aisā thā