tūfāñ ke Dar se rañg uḌā bhī isī kā thā
lekin safīna paar lagā bhī usī kā thā
jo hoñT sil ga.e vo sanā-ḳhvāñ usī ke the
jo mar gayā vo harf-e-duā bhī usī kā thā
utrī thī us ke ghar meñ mah-o-mahr kī barāt
aur merā TimTimātā diyā bhī usī kā thā
mīnār-e-jāñ meñ us kī sadā gūñjtī rahī
lauh-e-jabīñ pe naam likhā bhī usī kā thā
thī us ke aks-e-ruḳh se shafaq-rañg zindagī
mere lahū meñ rañg-e-hinā bhī usī kā thā
ḳhāmoshiyoñ pe pahle kabhī us kā bas na thā
phir yuuñ huā ki shahr-e-sadā bhī usī kā thā
pahle to chand log taraf-dār the mire
phir vo bhī vaqt thā ki ḳhudā bhī usī kā thā