Naseem Shekh

jo likhna chaha na likh paya main KHuda afsos

Naseem Shekh

Pakistan

1965
jo likhnā chāhā na likh paayā maiñ ḳhudā afsos
so rah gayā mirī tahrīr meñ ḳhalā afsos
har ek ḳhvāb ko ashkoñ se dhaar kar maiñ ne
jo dekhā dil to dikhā jā-ba-jā paḌā afsos
bisāt-e-jāñ meñ rahā raqs ḳhvāhishoñ kā magar
chhalak ke āñkhoñ se ashkoñ ne kah diyā afsos
ajab nahīñ hai tū kyā hai koī batā.e mujhe
yahāñ pe jo bhī milā mil ke ye kahā afsos
maiñ apne hāthoñ se ban ban ke ret jab niklā
to merā saayā bhī kahte hue chalā afsos
uThā ke laa.ī jo taqdīr aa.ine ke huzūr
to darj chehre pe aur aa.ine meñ thā afsos
jo aks maiñ ne ubhārā thā dil ke kāġhaz par
qadam qadam pe nadāmat vahī banā afsos
maiñ ḳhvāhishoñ ke janāze ko paḌh ke ghar aayā
kisī ke chehre pe ḳhushiyāñ kisī ke thā afsos
vo ek mauj-e-'nasīmī' thī vahshat-e-dil kī
kisī ke hijr meñ jis ko bahā diyā afsos
likhā huā thā muqaddar meñ pī gayā khul kar
to kaise kah duuñ ke pī kar mujhe huā afsos
Top Urdushayar.com