Naseem Shekh

mujhse bazi le gaya phir ba-KHuda mera nasib

Naseem Shekh

Pakistan

1965
mujh se baazī le gayā phir bā-ḳhudā merā nasīb
maiñ sisaktā rah gayā hañstā rahā merā nasīb
zindagī ke naam par jab zindagī mujh ko milī
imtihāñ-dar-imtihāñ likkhā gayā merā nasīb
maiñ to rishtoñ kī tamāzat se jhulas kar rah gayā
aur us par tiir kī sūrat lagā merā nasīb
kyā samajhtā maiñ bhalā mahdūd huuñ apne ta.iiñ
ki sazā hai yā kisī kī bad-duā merā nasīb
hasratoñ ne lā ke pheñkā jab mujhe bāzār meñ
boliyāñ lagtī rahīñ biktā rahā merā nasīb
chaak par kūza-garī ke ba.ad us ḳhattāt ne
haath kī uljhī lakīroñ par likhā merā nasīb
jab kahīñ gherā ġhamoñ kī āñdhiyoñ ne bā-ḳhudā
daldaloñ meñ le ke mujh ko gir paḌā merā nasīb
kab talak piitā rahūñ ai zindagī maiñ jām-e-ġham
kab talak mujh se rahe kā yuuñ ḳhafā merā nasīb
ik qadam maiñ ne uThāyā toḌ kar zanjīr-e-pā
bichh gayā kāñToñ kī sūrat jā-ba-jā merā nasīb
hai sabab mauj-e-'nasīmī' kī ravānī kā yahī
dastaras meñ jo nahīñ mere ḳhudā merā nasīb
Top Urdushayar.com