banā ke tāj-mahal ḳhud use girā.uñgā
mohabbatoñ meñ baġhāvat hai kyā dikhā.ūñgā
qalam lagā ke adāvat ke peḌ-paudoñ meñ
jo shāḳh sabr kā phal de vahī ugāñgā
utar chukī hai mirī ruuh meñ shab-e-hijrāñ
maiñ us ko hijr kī mankūha ab banā.ūñgā
ġhamoñ kī aañch par aañsū ubaal kar apne
maiñ apne zabt kī quvvat ko āzmā.ūñgā
chalā huuñ bād-e-muḳhālif maiñ ek muddat se
na chheḌo mujh ko vagarna tumheñ rulā.uñgā
karo na fikr sitāroñ kī chaal jo bhī ho
uThā ke chāñd chakorī ke paas lā.ūñgā
lagā ke siine se maiñ rāstoñ ke ye patthar
ḳhizāñ meñ giit bahāroñ ke gungunā.uñgā
maiñ tishnagī ko miTāne ke vāste sahrā
laboñ se tere maiñ ye aable lagā.ūñgā
bhañvar ke pairoñ meñ hasrat ke bāñdh kar ghuñghrū
gar iḳhtiyār meñ hogā to maiñ nachauñgā
maiñ ek mauj-e-'nasīmī' huuñ bastiyāñ dil kī
sarāb-e-dasht tire sāmne basā.ūñgā