Naseem Shekh

main kho chuka hun ajab raste banate hue

Naseem Shekh

Pakistan

1965
maiñ kho chukā huuñ ajab rāste banāte hue
talāsh kartā huuñ ab zā.iche banāte hue
ḳhud apnī raah kī dīvār kar diyā ḳhud ko
mohabbatoñ meñ na.e zāviye banāte hue
bichhā ke jhiil taḳhayyul ke ek sahrā meñ
tujhe bhulā.ūñgā maiñ dā.ere banāte hue
nikal chukā huuñ maiñ apnī hudūd se aage
na.ī radīf na.e qāfiye banāte hue
ye hādisa bhī mujhe pesh aa gayā afsos
ki aa.ina sā huā aa.ine banāte hue
nigal chukā huuñ hazāroñ hī jaam talḳhī ke
surūr-e-jāñ ke liye zā.iqe banāte hue
zamīñ se ubhrā to phir āsmāñ ne kuchlā mujhe
kahīñ kā maiñ na rahā martabe banāte hue
ḳhud apne paañv kī zanjīr ban gayā maiñ to
diloñ ke beach na.e silsile banāte hue
palaT ke dekhā nahīñ maiñ ne zindagī kī taraf
maiñ dauḌtā rahā bas ham ko the banāte hue
milī haiñ mauj-e-'nasīmī' kī qurbateñ mujh ko
aqīdatoñ ke na.e zābte banāte hue
Top Urdushayar.com