aap hī apnā maiñ dushman ho gayā
tap gayā sonā to kundan ho gayā
aur nikhrā sub.h-e-kāzib kā suhāg
ḳhatm jab tāroñ kā īñdhan ho gayā
kis se pūchhūñ kho ga.ī siitā kahāñ
ban kā har saaya hī rāvan ho gayā
jab dar-o-dīvār chamkā.e ga.e
ghar kā ghar hī un kā darpan ho gayā
bad-nasībī qāfile kī dekhiye
jo banā rahbar vo rahzan ho gayā
vo nahīñ to un kā har lamha ḳhayāl
har-nafas par ek uljhan ho gayā
māñgte phirte haiñ gul ḳhāroñ se chhāñv
kyā se kyā dastūr-e-gulshan ho gayā
phir na bichhḌe is tarah se mil ga.e
jaise do sāyoñ kā bandhan ho gayā
be-ḳhayālī meñ yūñhī phailā thā haath
jab chhuā tum ne to dāman ho gayā
jaane kyuuñ gum ho ga.ī barkhā kī dhuup
ruḳh mirā jab sū-e-chilman ho gayā