fazā meñ dā.ere bikhre hue haiñ
ham apnī zaat meñ uljhe hue haiñ
hazār ḳhvāhishoñ ke but haiñ dil meñ
magar but bhī kabhī sachche hue haiñ
shanāsā.ī mohabbat bevafā.ī
ye sab koī mire dekhe hue haiñ
hai un kā zikr itnā mahfiloñ meñ
ham apnī dāstāñ bhūle hue haiñ
huī hai sabt un par mohr-e-ālam
vahī jo faisle dil se hue haiñ
ye dil jab tak zarā Thahrā huā hai
usī ke dam se ham Thahre hue haiñ
jalāo dil ki har saaya ho raushan
añdhere chain se baiThe hue haiñ
jo aañsū vaqt-e-ruḳhsat the amānat
vo ab tak ruuh meñ taire hue haiñ
bahut logoñ ne kī hai dard-mandī
magar ye zaḳhm kab achchhe hue haiñ
guzar jaate na jaane kitne tūfāñ
ye do āñkheñ unheñ roke hue haiñ